Wednesday 21 November 2012

मुझ से पहली सी मोहब्बत न मांग .--Faiz Ahmad Faiz....






REMEMBERING FAIZ AHAMAD FAIZ....

Faiz Ahamad Faiz kii mash-hoor ek gazal .....
(in Roman below)
मुझ से पहली सी मोहब्बत न मांग .

मुझ से पहली सी मोहब्बत मेरे महबूब न मांग ,
मैंने समझा था , तू है तो दरख्शां है हयात ,
तेरा गम है तो गम -ए-दहर का झगड़ा क्या है ,
तेरी सूरत से है , आलम में बहारों को सबात ,
तेरी आँखों के सिवा दुनिया में रखा क्या है ,
तू जो मिल जाए तो तकदीर निगूँ हो जाए ,
यूँ न था , मैंने फ़क़त चाहा था यूँ हो जाए .

और भी दुःख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा ,
राहतें और भी हैं , वस्ल की राहत के सिवा ,
अनगिनत सदियों के तारीक बहीमाना तिलस्म ,
रेशम -ओ -अतलस -ओ -किम्ख्वाब में बुनवाये हुए ,
जा -बा-जा बिकते हुए कूचा -ओ -बाज़ार में जिस्म ,
खाक में लिथड़े हुए खून में नहलाये हुए ,
जिस्म निकले हुए अमराज़ के तन्नूरों से ,
पीप बहती हुयी ,गलते हुए नासूरों से .

लौट जाती है उधर को भी नज़र क्या कीजे ,
अब भी दिलकश है तेरा हुस्न मगर क्या कीजे .
और भी दुःख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा ,
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा ,
मुझसे पहली सी मोहब्बत मेरे महबूब न मांग ......
--Faiz Ahmad Faiz....

Mujh se pahli si mohabbat na maang.

Mujh se pahlee see mohabbat mere mehboob na maang,
Maine samjhaa thaa, tu hai to darkhshaan hai hayaat,
Teraa gam hai to gam-e-dahar kaa jhagrdaa kyaa hai,
Terii soorat se hai, aalam mein bahaaron ko sabaat,
Terii aankhon ke siwaa duniyaa mein rakhaa kyaa hai,
Tu jo mil jaaye to taqdeer niguun ho jaaye,
Yun na thaa, maine faqat chaahaa thaa yun ho jaaye.

Aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke siwaa,
Raahtein aur bhi hain, wasl kii raahat ke siwaa,
Anginat sadiyon ke taareeq baheemaanaa tilasm,
Reshm-o-atlas-o-kimkhwaab mein bunwaaye huye,
Jaa-ba-jaa bikte huye koochaa-o-baazaar mein zism,
Khaaq mein lithrde huye khoon mein nahlaaye huye,
Zism nikle huye amraaz ke tannooron se,
Peep bahtii huyi,galte huye naasooron se.
Laut jaatee hai udhar ko bhi nazar kyaa keeje,


Ab bhi dilkash hai teraa husn magar kyaa keeje.
Aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke siwaa,
Raahten aur bhi hain wasl kii raahat ke siwaa,
Mujhse pahlee see mohabbat mere mehboob na maang......
--- Faiz Ahamad Faiz.

No comments:

Post a Comment