Sunday 30 December 2012

Aamir Farooqui - नज़्म – भारत की बेटी





नज़्म – भारत की बेटी
-------------------------

उठ मेरी जान
तुझे अपने तक़द्दुस* की क़सम (*पवित्रता)
अपने पैरों पे तुझे
फिर से खड़ा होना है
तुझ को जीना है
के ताबिन्दा* रहे (*चमकता हुआ)
नूर की लौ
जिसकी किरनों से
झुलसता रहे वहशी इफ्रीत
डर के दुबका रहे
तारीक कमींगाहों* में (*अँधेरे व्यभिचारी अड्डे)
खौफ से जिसके लरज़ते हों
सभी दस्ते-गुनाह
अपने ही जुल्मो-तशद्दुद से करे
अर्ज़े-पनाह

जानता हूँ की तेरे
जिस्म की
मजरूह* ज़मीं *(ज़ख़्मी)
एक मकतल* है तेरी 8(वधस्थल)
रूह की रानाई का
अक्स ताज़ा है अभी ज़ुल्म की
परछाईं का

तू पशेमान न हो
खौफ न कर
रंज न कर
तेरे ज़ख्मों ने जगाया है
के हम जिंदा हैं
फ़र्ज़ कुछ हम पे भी लाहक हैं
के हम जिंदा हैं

तुझ को मालूम नहीं
हद्दे-नज़र जाने-वतन
पूरे भारत में तेरे
गम की तरफदारी है
तो फक़त आज ज़माने के लिए जाने-हया
सिन्फे-नाज़ुक* ही नहीं *(अबलायें)
कूवाते-बेदारी है

उठ मेरी जान
तुझे अपने तक़द्दुस की क़सम
अपने पैरों पे तुझे
फिर से खड़ा होना है
तेरे एहसास की आँखे भी
यही कहती हैं
मुझको जीना है अभी
देर बहुत जीना है
******

NAZM – Bharat ki Beti
----------------------------

UTh meri jaan
Tujhe apne taqaddus ki qasam (taqaddus – pakeezgi)
Apne pairoN pe tujhe
Phir se khaDa hona hai
Tujh ko jeena hai
Ke tabinda rahe
Noor ki lau
Jiski kirnoN se Jhulasta rahe
Wahshi Ifreet
Dar ke dubka rahe
Tareek kameeNgahoN meN
Khauf se jiske larzte hoN
Sabhi dast-e-gunah
Apne hi zulm-o-tashaddud se kare
Arz-e-panah

Janta hooN ki tere
Jism ki
Majrooh zameeN (Majrooh – zakhmi)
Ek maqtal hai teri
Rooh ki ra’naee ka
Aks taza hai abhi zulm ki
parchhaeeN ka

Tu pashemaan na ho
Khauf na kar
RaNj na kar
Tere zakhmoN ne jagaya hai
Ke ham zinda haiN
Farz kuchh ham pe bhi lahaq haiN
Ke ham zinda haiN

Tujh ko ma’loom nahiN
Hadd-e-nazar, jaan-e-watan
Poore Bharat meN tere
Gham ki tarafdari hai
To faqat aaj zamane ke liye
Jaan-e-haya
Sinf-e-nazuk hi nahi
Qoowat-e-bedaari hai

UTh meri jaan
Tujhe apne taqaddus ki qasam
Apne pairoN pe tujhe
Phir se khaDa hona hai
Tere ehsas ki aaNkheN bhi
Yahi kahti haiN
Mujh ko jeena hai abhi
Der Bahot jeena hai.

Aamir Faruqi - Bharat ki Beti

No comments:

Post a Comment