Saturday, 10 May 2014

एक कविता,..... अब बहस के मुद्दे बदलो ! - विजय शंकर सिंह



(In Roman Below)
अब बहस के मुद्दे बदलो ,
कब तक झांसा दोगे तुम ,
जब जब बात चली रोटी की ,
जबरन बात बदल देते हो।

भूख , भय और बेकारी की
जब भी मैं बातें करता हूँ ,
चुपके से तुम बहका कर ,
मंदिर, मस्ज़िद पर लाते हो ,

प्यार नहीं तुमको मंदिर से ,
और नहीं मस्ज़िद पर अक़ीदा ,
दिखने में मासूम बहुत हो ,
अंदर से कितने शातिर हो.

आज मुखौटा उतर रहा है ,
कितनी बदरंगी शक्लें हैं ,
लाशों पर तुम राज करोगे
घर घर आग लगा बैठे हो,

कितनी कसमें , कितने वादें
किये थे तुमने याद है कुछ ,
फिर फिर आते उन्ही को लेकर
सारी शर्म गवाँ बैठे हो,

नहीं भरोसा तुम पर मेरा ,
आशंका से भरा बैठा हूँ ,
अब तो बहस के मुद्दे बदलो ,
कब तक झांसा दोगे तुम !!
-vss.

A poem.
Ab bahas ke mudde badlo..

Ab bahas ke mudde badlo,
kab tak jhaansaa doge tum,
jab jab baat chalee rotee ki,
jabaran baat badal dete ho.

Bhookh, bhay aur bekaaree kee,
jab bhee main baaten kartaa hoon,
chupke se tum bahakaa kar,
mandir maszid par laa dete ho.

Pyaar nahin tumko, mandir se,
aur nahin maszid par aqeedaa.
Dikhne mein maasoom bahut ho,
andar se kitne shaatir ho.

Aaj mulammaa utar rahaa hai,
kitnee badrangee shakle hain.
Laashon par tum raaj karoge,
ghar ghar aag lagaa dete ho.

Kitnee kasmen, kitne waade,
kiye the tum'ne yaad hai kuchh.
Fir, fir aate unhi ko lekar,
saaree sharm ganwaan baithe ho.

Nahin bharosaa tum par meraa,
aashankaa se ghiraa baithaa hoo,
ab to bahas ke mudde badlo,
kab tak jhaansaa doge tum. !!

-vss. 

No comments:

Post a Comment