(in Roman below)
हाँथ में हाँथ, हम थामे जिधर
कदम दर कदम,
बढ़ते चले
राह में से
राहें, निकलती गयीं ,
हर राह तेरे दर तक, पहुँचती गयी .
बेसब्री से ढूंढा, जो तुझ को
,
भटकता रहा दर
ब दर, दर
ब दर ,
झुकाया जब सिर,
तू मुझको दिखा ,
व्यर्थ, तुझ को
मैं, खोजता ही
रहा .
थक कर बैठा जो , गुमसुम सा मैं
,
भीतर कोई खिलखिला कर हंसा ,
ढूँढ़ते क्यों हो
मुझ को, तुम
दर ब दर ,
देखो ज़रा नज़रें उठा कर इधर
.
जो नज़ारे तुम्हे दिख रहे चार
सू ,
वे मुझ से
ही तो सब
आबाद हैं ,
आओ ज़रा अब
मेरा हाँथ थामो ,
आँखों में मेरे , धीरे से झांको .
खामोश दरिया , जो
तुम्हे दिख रहा
है ,
सदियों से , भीतर , कुछ उबल रहा
है ,
यह किस्सा है
दुनिया का , न
जाने कब से
,
ढूंढते हैं उसी
को , जो खोया ही
नहीं है .
-vss.
Haanth mein haanth
ham thaame jidhar
Haanth mein haanth
thaame jidhar,
kadam dar kadam
ham badhte chale,
raah mein se
raahen nikaltee gayeen,
har raah tere dar
tak pahunchtee gayee.
Be'sabree se dhoondhaa jo tujh ko,
bahataktaa rahaa
dar ba dar, dar ba dar,
jhukaayaa jab sir,
tu waheen mujhko dikhaa,
vyarth mein tujh
ko main khojtaa hi rahaa.
thak kar baithaa
jo gumsum saa main,
andar se koi,
khil'khilaa'kar hansaa.
Dhoondhte kyun ho
mujh ko tum dar ba dar.
Dekho zaraa saa
nazren uthaa kar idhar.
Jo nazaare tumhe
dikh rahen chaar soo.
Wey mujh se hee to
sab aabaad hain.
Aao zaraa ab meraa
haanth thaamo,
aankhon mein mere
dheere se jhaanko.
Khaamosh dariyaa
jo tumhe dikh rahaa hai,
sadiyon se bheetar
kuchh ubal rahaa hai.
Ye kissaa hai
duniyaa kaa na jaane kab se.
Dhoondhte hain
usee ko, jo khoyaa hee nahin hai..
-vss.
Good poem.
ReplyDelete