एक कविता…
उस की आँखें ..
मैं ने जब भी
,
मौसम को बदलते देखा ,
कभी सूखा सूखा सा
जो मंजर पाया ,
कभी उडती हुयी धूल का ,
बवंडर जो मिला ,
कभी ऊदी ऊदी सी घटा
जो छायी ,
कभी टूट के घनघोर सावन ,
जो बरसा ,
कभी सैलाब ,
फूट निकला ,तोड़ कर बाँध सारे ,
कभी भींगी भींगी मस्त सी
हवा जो चली ,
हर ऋतू में ,
मुझे उस के आँखों की अदा
याद आयी
!!
--vss
A poem...
Us ki
aankhen..
Maine jab
bhee,
mausam ko
badalte dekhaa,
kabhee
sookhaa sookhaa saa
jo manjar
paayaa,
kabhee udtee
huyee dhool kaa ,
bawandar jo
milaa ,
kabhee oodee
oodee see ghataa ,
jo chhaayee
,
kabhee toot
ke ghanghor saawan,
jo barsaa,
kabhee
sailaab,
phoot
niklaa, tod kar baandh saare ,
kabhee
bheengee bheengee mast see,
hawaa jo
chalee ,
har ritu
mein ,
mujhe us ke aankhon kee adaa,
yaad aayee !!
-vss.
No comments:
Post a Comment