सितारों से भरे
इस आसमान की
वुसवतों में ,
मुझे अपना सितारा
ढूंढना है !
फलक पर कहकशां दर कहकशां
एक बे'करानी है .
न उसका नाम
है मालूम ,
न कोई निशानी है !
बस , इतना याद है
कि ,
अज़ल की सुबह , जब सारे सितारे ,
अलविदाई गुफ्तगू करते हुए ,
रास्तों पर निकले थे ,
तो उस की
आँख में ,
एक और तारा झिलमिलाया था
उसी तारे की
सूरत का ,
मेरी भींगी हुयी आँखों में भी
,
एक ख्वाब रहता है .
.
मैं अपने आंसुओं में ,
अपने ख़्वाबों को
सजाता हूँ ,
और उस की
राह तकता हूँ !
सुना है गुमशुदा चीजें ,
जहां पर खोती हैं ,
वहीं से मिल
भी जाती हैं
!!
Ek nazm...
Sitaaron se
bharay,
Is aasmaan ki
wus'aton mein,
Mujhey apnaa sitaaraa
Mujhey apnaa sitaaraa
dhoondhnaa hai.
Falak par kehakashan dar kehakashan
ek be'karaani hai,
Na us kaa naam hai maloom,
Na us kaa naam hai maloom,
Na koi nishaanee
hai.
Bas itnaa yaad hai mujh ko,
azal kee subah, jab saarey sitaarey,
Alwidaai guftagu
kartey huye,
Raaston pey
nik'ley the.
To us ki aankh mein,
Ek aur taaraa
jhil'milaayaa thaa,
Usi taarey kee soorat kaa,
Meri bheengi huyee aankhon mein bhee,
Usi taarey kee soorat kaa,
Meri bheengi huyee aankhon mein bhee,
Ek khwaab rahataa
hai.
Main apney aansuon mein
apne khwaabon ko
sajaataa hoon.
Aur us'kee raah tak'taa hoon.
Sunaa hai gum'shudaa cheezen,
jahaan par kho jaatee hain,
wahin sey mil bhee jaatee hain.
Aur us'kee raah tak'taa hoon.
Sunaa hai gum'shudaa cheezen,
jahaan par kho jaatee hain,
wahin sey mil bhee jaatee hain.
-vss.
No comments:
Post a Comment